Agar Ye Rangini-e-jahan Ka Wajud Hai Aks-e-asman Se

agar ye rangini-e-jahan ka wajud hai aks-e-asman se

to phir ruKH-e-sham-o-aina par khila hai ye rang-e-KHun kahan se

ruke rahenge fasil-e-zulmat ke daere par sabhi musafir

magar kisi KHwab ke jilau mein charagh niklega karwan se

ruki hui hai jo ek mauj-e-sarab ki sath par ye duniya

to main bhi us KHwab ke nagar ka subut launga dastan se

ye aaina jama kar raha hai nae jahazon ke aks lekin

ye aab-ju qata kar rahi hai kisi sitare ko darmiyan se

ye sach hai mil baiThne ki had tak to kaam aai hai KHush-gumani

magar dilon mein ye dosti ki numud hai rahat-e-bayan se

musafir-e-KHwab ke liye hain ye meri aankhon ke phul 'sajid'

aur ek sitare ke dekhne ko ye aag utri hai shama-dan se

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Ye Rangini-e-jahan Ka Wajud Hai Aks-e-asman Se In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Agar Ye Rangini-e-jahan Ka Wajud Hai Aks-e-asman Se is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Agar Ye Rangini-e-jahan Ka Wajud Hai Aks-e-asman Se for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Agar Ye Rangini-e-jahan Ka Wajud Hai Aks-e-asman Se in PDF.