Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi

lahu ki aag agar jalti rahegi

hamari dal bhi galti rahegi

bharosa hai agar duniya ko hum par

hamare rang mein Dhalti rahegi

mohabbat hai agar sachchi hamari

mata-e-KHwab par palti rahegi

chaman ab der tak raqsan rahega

hawa ab der tak chalti rahegi

kahan aaegi apne waqt par maut

wo agle roz par Talti rahegi

jahan mein surKH-ru ho kar bhi 'sajid'

wo hathon ko yunhi malti rahegi

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Lahu Ki Aag Agar Jalti Rahegi in PDF.