Meri Wirasat Mein Jo Bhi Kuchh Hai Wo Sab Isi Dahr Ke Liye Hai

meri wirasat mein jo bhi kuchh hai wo sab isi dahr ke liye hai

ye rang ek KHwab ke liye hai ye aag ek shahr ke liye hai

agar isi raat ki siyahi ke sath kho jaenge sitare

to phir ye mere lahu ka raushan charagh kis lahr ke liye hai

tulu-e-imkan-e-arzu par yaqin rakhti hai ek duniya

magar ye be-kar KHwahishon ki numud ek zahr ke liye hai

kanar-e-dariya hai ek maddham ghubar kis dasht ka paDaw

darun-e-sahra ye aab-e-haiwan ka naqsh kis nahr ke liye hai

ye KHwab hote hue sahifon ke phul mere liye hain lekin

zamin-e-dil par ye aayaton ka nuzul ek dahr ke liye hai

bas ek insan ki KHushi hai kisi haqiqat ki ru-numai

magar kisi KHwab ke ziyan ka malal ek shahr ke liye hai

agar hai insan ka muqaddar KHud apni miTTi ka rizq hona

to phir zamin par ye aasman ka wajud kis qahr ke liye hai

(1200) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Wirasat Mein Jo Bhi Kuchh Hai Wo Sab Isi Dahr Ke Liye Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Meri Wirasat Mein Jo Bhi Kuchh Hai Wo Sab Isi Dahr Ke Liye Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Meri Wirasat Mein Jo Bhi Kuchh Hai Wo Sab Isi Dahr Ke Liye Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Meri Wirasat Mein Jo Bhi Kuchh Hai Wo Sab Isi Dahr Ke Liye Hai in PDF.