Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera

nahin aasan kisi ke waste taKHmina mera

muqarrar hai dayar-e-ghaib se rozina mera

dam-e-ruKHsat agar main hausle se kaam leta

palaT kar dekh sakta tha use aaina mera

hadaf ban paengi aankhen na mere dushmanon ki

muqabil hai KHadang-e-KHwab ke ab sina mera

paDa rahta hun kunj-e-afiyat mein sar chhupa kar

guzar jata hai yun hi sabt aur aadina mera

buDhapa chha raha hai mere har jazbe pe lekin

jawan hota chala jata hai phir bhi kina mera

badal sakta tha mere shahr ka aahang 'sajid'

agar tartib pa sakta kabhi sazina mera

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Nahin Aasan Kisi Ke Waste TaKHmina Mera in PDF.