Samajhte Hain Jo Apne Bap Ki Jagir MiTTi Ko

samajhte hain jo apne bap ki jagir miTTi ko

banaunga main un ke panw ki zanjir miTTi ko

hawa sath-e-zamin par ab KHat-e-gulzar khinchegi

ki KHush aati nahin hai abr ki tahrir miTTi ko

siyah paD jaegi zarron ki rangat ek hi pal mein

agar qismat se mil jae meri taqdir miTTi ko

jalali aaina ek aasman par mehr-e-taban hai

banaya hai zamin par sabr ki taswir miTTi ko

bajae KHak uDte hain sitare meri aankhon mein

ki ho jati hai aise kaam mein taKHir miTTi ko

use mismar karne mein koi mushkil nahin hogi

pasand aai hai shahr-e-KHwab ki tamir miTTi ko

bahut raunda gaya hai KHak ko aur KHak-zadon ko

ata ki jaegi ab ghaib se tauqir miTTi ko

kamal apna dikhaega tilismi aaina 'sajid'

ki ab darkar hai ek KHwab ki tabir miTTi ko

(1618) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajhte Hain Jo Apne Bap Ki Jagir MiTTi Ko In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Samajhte Hain Jo Apne Bap Ki Jagir MiTTi Ko is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Samajhte Hain Jo Apne Bap Ki Jagir MiTTi Ko for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Samajhte Hain Jo Apne Bap Ki Jagir MiTTi Ko in PDF.