Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main

subh tak jin se bahut bezar ho jata hun main

raat hote hi unhi galiyon mein kho jata hun main

KHwab mein gum hun ki bahar ki faza achchhi nahin

aankh khulte hi kahin zanjir ho jata hun main

khinch lati hai usi kuche mein phir aawargi

roz jis kuche se apne shahr ko jata hun main

is andhere mein charagh-e-KHwab ki KHwahish nahin

ye bhi kya kam hai ki thoDi der so jata hun main

raat lati hai kisi ke qurb ki KHwahish magar

subh hote hi kisi se dur ho jata hun main

ji mein aata hai ki duniya ko badalna chahiye

aur apne aap se mayus ho jata hun main

bare bagh-e-sehn-e-duniya mein bahut din rah liya

KHush raho ab is gali se dosto jata hun main

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Subh Tak Jin Se Bahut Bezar Ho Jata Hun Main in PDF.