Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein

be-gana-adai hai sitam jaur-o-sitam mein

hum chhupne na pae ki chhupa aap wo hum mein

kuchh ilm-o-KHirad par nahin taqdir ki miqdar

andaza-e-paiman na zyaada mein na kam mein

hai tarz-e-mohabbat hi dil-ashob wagarna

kuchh baat adawat ki na tum mein hai na hum mein

har qafila-e-dard-rasida ki hai manzil

kya jaaniye aaram hai kya mulk-e-adam mein

yarab ho bura is hawas-e-dil ka nahin chain

iflas bhi khoya talab-e-jah-o-hasham mein

be-his hawas-e-wasl mein aise to hue hain

lazzat hai aziyyat mein halawat hai na sam mein

afsana-e-mai-KHana hai waiz ki zaban par

andaza-e-paimana hai qindil-e-haram mein

mujh ko hi nahin be-KHud-o-behosh kya kuchh

diwane bane aap bhi tashwish-e-sitam mein

us zohd-libasi ke 'qalaq' tere hain qail

kis Dhang se laya pisar-e-shaiKH ko dam mein

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Be-gana-adai Hai Sitam Jaur-o-sitam Mein in PDF.