Dosti Uski Dushmani Hi Sahi

dosti us ki dushmani hi sahi

dost to ho wo muddai hi sahi

masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffara

tauba se tauba hum ne ki hi sahi

hai agar kuchh wafa to kya kahne

kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi

ji hai ye bin lage nahin rahta

kuchh to ho shaghl-e-ashiqi hi sahi

mohtasib KHatm kijiye hujjat

pi hai to KHair hum ne pi hi sahi

haif KHamyaz-ha-e-hasrat-o-shauq

zindagani kashakashi hi sahi

jaan de kar liya hai nam-e-wafa

maut bhi hum ne mol li hi sahi

milte hain muddai se milne do

ki meri na-KHushi KHushi hi sahi

bosa dene ki chiz hai aaKHir

na sahi har ghaDi kabhi hi sahi

qatl hote hain qatl hote hain

ahd-e-dil daur-e-nadari hi sahi

ai 'qalaq' nasehon se kya takrar

man ek baat man li hi sahi

(845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dosti Uski Dushmani Hi Sahi In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Dosti Uski Dushmani Hi Sahi is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Dosti Uski Dushmani Hi Sahi for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Dosti Uski Dushmani Hi Sahi in PDF.