Ghair Shayan-e-rasm-o-rah Nahin

ghair shayan-e-rasm-o-rah nahin

kab wo aashiq hai jo tabah nahin

ai falak daur-husn mein us ke

tujh ko kuchh fikr-e-mehr-o-mah nahin

rabt-e-dushman se bhi wo bad-bar hai

ab kisi tarah se nibah nahin

kam nigahi ko un ki dekhte hain

un pe bhi ab hamein nigah nahin

parda kab tak rahega ai zalim

aKHtar-e-muddai siyah nahin

zulm ki qadr ke liye hai rahm

dad kuchh bahr-e-dad-KHwah nahin

haif qazzaqi-e-zamana haif

rasm-o-rah bahr-e-rasm-o-rah nahin

hai gada shah balki shahanshah

satwat-e-qahr-e-baadshah nahin

ulfat aur tum se hae hae na ho

lab-e-dushman pe aah aah nahin

pasti-e-talea bahr-e-KHubi-e-fan

kya wo yusuf jo gharq-e-chah nahin

arsa-e-nisti-o-hasti se

bach ke chalne ki koi rah nahin

ai 'qalaq' kya hua buDhape mein

ishq kuchh sair-e-subah-gah nahin

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghair Shayan-e-rasm-o-rah Nahin In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Ghair Shayan-e-rasm-o-rah Nahin is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Ghair Shayan-e-rasm-o-rah Nahin for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Ghair Shayan-e-rasm-o-rah Nahin in PDF.