Hai KHamoshi-e-intizar Bala

hai KHamoshi-e-intizar bala

ast hai ek chup hazar bala

dekh le ek nazar ki hai manzur

sad-tabahi o sad-hazar bala

dilbari par hai jaan-faza be-dad

dil-dahi par hai jaan-nisar bala

hijr mein aasman mudarai

wasl mein hai satiza-kar bala

kaj-kulahi ka ham-nashin fitna

KHam-e-gesu ki dost-dar bala

aa gai sar pe aaqibat aafat

ho gai chashm-e-intizar bala

hai fida mujh pe aasman goya

war war aai bar bar bala

mujh sa pamal-e-rozgar hai kaun

KHajil aafat hai sharm-sar bala

dagh ka mere dard-kash sadma

dard ki mere raaz-dar bala

sehn-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq

naujawani ki hai bahaar bala

ai 'qalaq' aasare ka kya jina

zindagi hai maal-e-kar bala

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai KHamoshi-e-intizar Bala In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Hai KHamoshi-e-intizar Bala is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Hai KHamoshi-e-intizar Bala for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Hai KHamoshi-e-intizar Bala in PDF.