Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq

har adawat ki ibtida hai ishq

ki mohabbat ki intiha hai ishq

lo zuleKHa ko kab hua hai ishq

kis qadar taqat-azma hai ishq

falak o muddai o yar o ajal

sab bhale hain magar bura hai ishq

dekhiye is ka hoga kya anjam

ab KHuda se hamein hua hai ishq

ho chuka hum se kuchh jo hona tha

tu ne ye haal kya kiya hai ishq

wamiq-o-qais-o-kohkan kya the

ajal-o-afat-o-bala hai ishq

dekhna shauq-o-sharm ka shewa

husn-e-KHud-bin hai KHud-numa hai ishq

kaun jaane tha us ka nam-o-numud

meri barbaadi se bana hai ishq

dil karo KHun to kya hai dildari

jaan jati rahe to kya hai ishq

gham-zadai mein gham-faza kya kuchh

dil-ruba ya na jaan-ruba hai ishq

ba-wafa wo hain bewafa hai husn

bewafa hum hain ba-wafa hai ishq

ghamza sa ghamza gham mein karta hai

kuchh se kuchh ab to ho gaya hai ishq

kaise kaison ki us ne li hai jaan

dekhna kya hi KHush-ada hai ishq

kyun ke matam na ab wafa ka rahe

mere marte hi mar miTa hai ishq

dekhna marg-o-zist ke jhagDe

jaan-faza husn-o-jaan-guza hai ishq

waisa hi hai farishta jaisi ruh

ai 'qalaq' tera aashna hai ishq

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Har Adawat Ki Ibtida Hai Ishq in PDF.