KHat Zamin Par Na Ai Fusun-gar KaT

KHat zamin par na ai fusun-gar kaT

dard-e-sar kaTna hai to sar kaT

gar likhun us ko nama-e-ulfat

harf-e-matlab ko de muqaddar kaT

qatl se mere gar phire qatil

dant se lun zaban-e-KHanjar kaT

gar hai bedad hi pasand tujhe

gardan-e-ghair ai sitam-gar kaT

gham-e-barq-o-tagarg ko na KHarid

kisht-e-ummid ko sarasar kaT

waqt-e-dai zer-e-KHar-zar guzar

mausam-e-gul tah-e-gul-e-tar kaT

pa-e-mardi se dast-burd na chhoD

jeb-e-shah-o-gada barabar kaT

quwwat-e-hazm hai ba-qadr-e-zarf

kya kare mauj-e-ab-e-gauhar kaT

sabr-o-taslim hi ke andar rah

umr ranj-o-KHushi se bahar kaT

tegh-e-burran-e-waqt se har dam

rishta-e-arzu ko yak-sar kaT

mat bana ghar chaman ke andar kaT

mat laga dil gul-o-sanobar kaT

aashiyan ke liye chaman ka se

murgh-e-hirs-o-hawa ka har par kaT

qadar-e-aram kuchh to kar malum

rose dushwar raat dubhar kaT

shart kuchh tegh bandhna hi nahin

zist ko aae jo mayassar kaT

ai 'qalaq' ranj ho ki ho aaram

kaT jaise kaTe subuk-tar kaT

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHat Zamin Par Na Ai Fusun-gar KaT In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. KHat Zamin Par Na Ai Fusun-gar KaT is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem KHat Zamin Par Na Ai Fusun-gar KaT for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download KHat Zamin Par Na Ai Fusun-gar KaT in PDF.