KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun

KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun

zamin-o-asman ka tarz-dan hun

main apni be-nishani ka nishan hun

hujum-e-matam-e-umr-e-rawan hun

tere jate hi meri zist tohmat

nahin milta pata apna kahan hun

ghubar-e-karwan-e-mor hai zist

ye KHatt-e-yar se aashufta-jaan hun

nahin kuchh kaam baKHt-o-asman se

main nakaami mein apni kaamran hun

nahin dam marne ka dam aur us par

sarapa shama san shakl-e-zaban hun

KHuda hi gar na de mashuq-o-mai ko

to kyun phir mohtasib se sargiran hun

wahan ka rang-e-parran aasman hai

main jis aalam ki taswir-e-guman hun

koi aawara mil jae to puchhun

kidhar se aaya hun jata kahan hun

nikal jata hai ji har aarzu par

pae-KHun-e-jawani mein jawan hun

mera gham ishrat-e-rafta ka naghma

ki misl-e-gard bu-e-karwan hun

kawakib-ha-e-qismat aasman par

na hun kyun nukta-chin main nukta-dan hun

'qalaq' be-raunaqi raunaq hai meri

bahaar-e-umr-e-hasti ki KHizan hun

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download KHushi Mein Bhi Nawa-sanj-e-fughan Hun in PDF.