Pi Bhi Ai Maya-e-ashabab Sharab

pi bhi ai maya-e-ashabab sharab

garm-joshi se hai kabab sharab

maryami uD gai masiha ki

lab-e-nazuk pe hai sharab sharab

us se hum ja bhiDe adu ke ghar

hai paDi KHanuman-KHarab sharab

kyun ki mutlaq haram hi kahiye

pijiega mila ke aab sharab

bahr-e-har-zarf-e-imtihan saghar

har tamanna ka intiKHab sharab

baad-azin mohtasib qasam le le

tauba karta hun la shitab sharab

zaea auqat ko nahin karte

pite hain waqt-e-mahtab sharab

saKHt matam hai ai shabab tera

ki rulati hai KHun-e-nab sharab

mohtasib us ka KHun hai kis par

jo hai pita bajae aab sharab

mushaf-o-KHirqa bechte hain hum

ho gai jaan ko azab sharab

us ki baKHshish hai be-hisab agar

hum bhi pite hain be-hisab sharab

har ghaDi zikr-e-mai hai ai waiz

ho gai teri to kitab sharab

ai 'qalaq' mai-kade mein sajde kyun

kaun dega pa-e-sawab sharab

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pi Bhi Ai Maya-e-ashabab Sharab In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Pi Bhi Ai Maya-e-ashabab Sharab is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Pi Bhi Ai Maya-e-ashabab Sharab for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Pi Bhi Ai Maya-e-ashabab Sharab in PDF.