Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh

un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh

kahne lage ye sach hai ki har tarah par darogh

duzd-e-hina pe duzdi-e-jaan ka hai ittiham

KHun-e-dil-o-jigar sar-e-tegh-e-nazar darogh

aana sabah-e-hashr ka sham-e-firaq jhuT

uD jaana shor-e-nala se rang-e-sahar darogh

har lahza tegh jaanna abru ka iftirak

har lamha zauq-e-qatl mein sar hath par darogh

sar sang-e-dar se phoDna wahshat mein na-subut

gir jaana sail-e-ashk se diwar-o-dar darogh

KHun-e-jigar bajae mai-e-nab na-durust

aatish-zani-e-shola-fishan chashm-e-tar darogh

jaan aur figar-e-tir-e-mizha kis qadar ghalat

dil aur asir-e-rishta-e-mu sar-ba-sar darogh

be-jaan ho aur jite ho furqat mein iKHtiraa

be-dil ho aur niyaz-e-nigah hai jigar darogh

TukDe nigah-e-naz se dil aap ka durust

wahm-e-nazar se dur hamari kamar darogh

uDta hai rang sath hi aawaz-e-naz ke

chin-e-jabin se aap ko itna KHatar darogh

hai na-sipas-e-wasl dil-e-hijr-e-dost KHabt

hai pak-baz chashm-e-haqiqat-nigar darogh

kuche mein mere le ke saba aaegi baja

tum KHak ho gae ho sar-e-rahguzar darogh

hum ko talash aap ki aur dar-ba-dar muhaal

jazb-e-dil-o-jigar se umid-e-asar darogh

hum aur nash uThane ko aate KHilaf-e-aql

marg-e-shab-e-firaq ki har su KHabar darogh

ye zabt-e-waza nam 'qalaq' qissa muKHtasar

shair ho har tarah hai tumhaara hunar darogh

(825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Un Se Kaha Ki Sidq-e-mohabbat Magar Darogh in PDF.