Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi

zindagi marg ki mohlat hi sahi

bahr-e-wamanda iqamat hi sahi

dosti wajh-e-adawat hi sahi

dushmani bahr-e-rifaqat hi sahi

tul dete ho adawat ko kyun

muKHtasar qissa-e-ulfat hi sahi

rakh kisi waza se ehsan ki KHu

mujh ko aazar se rahat hi sahi

aap ka bhi nahin chhuTta daman

mere dar pe meri shamat hi sahi

aaqibat hashr ko aana ek din

ruTh jaana teri aadat hi sahi

kuchh bhi ai baKHt mayassar hai tujhe

ya tajassus se faraghat hi sahi

kucha-e-ghair mein chal kar rahiye

gar nahin aish to hasrat hi sahi

yahi taqrib-e-sitam ho ai kash

har tarah ghair se nafrat hi sahi

ab to uTh aae lahad se be-tab

na sahi chaal qayamat hi sahi

yaadgari ki koi baat to ho

maut apni teri ruKHsat hi sahi

adl-o-insaf-e-qayamat malum

aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi

ai 'qalaq' shukr-e-sitam be-ja kyun

aah-o-fariyaad ki fursat hi sahi

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Zindagi Marg Ki Mohlat Hi Sahi in PDF.