Baat BaDhti Gai Aage Meri Nadani Se

baat baDhti gai aage meri nadani se

kitna arzan hua main apni farawani se

KHak hi KHak nazar aai mujhe chaaron taraf

jal gae chand sitare meri tabani se

be-tahasha jiye hum log hamein hosh nahin

waqt aaram se guzra ki pareshani se

ab mere gird Thaharti nahin diwar koi

bandishen haar gain be-sar-o-samani se

aaega aisa bhi ek moD safar mein 'rahi'

gard bhi meri na paoge tum aasani se

(579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat BaDhti Gai Aage Meri Nadani Se In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Baat BaDhti Gai Aage Meri Nadani Se is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Baat BaDhti Gai Aage Meri Nadani Se for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Baat BaDhti Gai Aage Meri Nadani Se in PDF.