BaDha Jab Uski Tawajjoh Ka Silsila Kuchh Aur

baDha jab us ki tawajjoh ka silsila kuchh aur

KHushi se phail gaya gham ka daera kuchh aur

natija dekh ke mana mere masiha ne

kuchh aur dard tha mera hui dawa kuchh aur

main apne aap ko kis aaine mein pahchanun

ki ek aks mera kuchh hai dusra kuchh aur

agar kahin koi diwar samne aai

buland ho gaya pani ka hausla kuchh aur

kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai

dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur

natija dekhne sunne ke baad ye nikla

bayan-e-waqia kuchh amr-e-waqia kuchh aur

guzar muhaal na hota hamara basti mein

jo uThtin chhoD ke diwaren rasta kuchh aur

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDha Jab Uski Tawajjoh Ka Silsila Kuchh Aur In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. BaDha Jab Uski Tawajjoh Ka Silsila Kuchh Aur is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem BaDha Jab Uski Tawajjoh Ka Silsila Kuchh Aur for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download BaDha Jab Uski Tawajjoh Ka Silsila Kuchh Aur in PDF.