FaraKH-dast Ka Ye Husn-e-tang-dasti Hai

faraKH-dast ka ye husn-e-tang-dasti hai

jo ek bund ki manind bahr-e-hasti hai

wo jis ko napiye to Thaharti nahin hai kahin

isi zamin pe kul kaenat basti hai

ghaTa to jhum ke aati hai aae din lekin

jahan barasna ho kam kam wahan barasti hai

zamin karti hai mujh ko ishaara-e-parwaz

meri tamam bulandi rahin-e-pasti hai

ab aur der na kar hashr barpa karne mein

meri nazar tere didar ko tarasti hai

jo gird-o-pesh se main be-niyaz hun 'rahi'

isi mein hosh hai mera isi mein masti hai

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

FaraKH-dast Ka Ye Husn-e-tang-dasti Hai In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. FaraKH-dast Ka Ye Husn-e-tang-dasti Hai is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem FaraKH-dast Ka Ye Husn-e-tang-dasti Hai for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download FaraKH-dast Ka Ye Husn-e-tang-dasti Hai in PDF.