Na Mera Zor Na Bas Ab Kya Hai

na mera zor na bas ab kya hai

ai giraftar-e-nafas ab kya hai

main tere waste aaina tha

apni surat ko taras ab kya hai

dane dane pe utar aae parind

banda-e-dam-e-hawas ab kya hai

kis hawa mein hai tu ai abr-e-karam

ab baras ya na baras ab kya hai

raha jab tak raha samton ka zawal

aai aawaz-e-jaras ab kya hai

(639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Mera Zor Na Bas Ab Kya Hai In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Na Mera Zor Na Bas Ab Kya Hai is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Na Mera Zor Na Bas Ab Kya Hai for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Na Mera Zor Na Bas Ab Kya Hai in PDF.