Nahin Hai Bahr-o-bar Mein Aisa Mere Yar Koi

nahin hai bahr-o-bar mein aisa mere yar koi

ki jis KHitte ka milta ho na dawedar koi

yunhi buniyaad ka darja nahin milta kisi ko

khaDi ki jaegi mujh par abhi diwar koi

pata chalne nahin deta kabhi fariyaadiyon ko

laga kar baiTh jata hai kahin darbar koi

nigahen us ke chehre se nahin haTtin jo dekhun

ki hai us ke gale mein besh-qimat haar koi

bachata phirta hun dariya mein apni kashti-e-jaan

kabhi is par hai koi bhi us par koi

usi ka qahr barpa hai usi ka faiz jari

har ek majbur ka hai malik-o-muKHtar koi

kahlwaya hai us ne phand kar diwar aa jaana

agar darwaze par baiTha ho pahre-dar koi

(659) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Hai Bahr-o-bar Mein Aisa Mere Yar Koi In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Nahin Hai Bahr-o-bar Mein Aisa Mere Yar Koi is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Nahin Hai Bahr-o-bar Mein Aisa Mere Yar Koi for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Nahin Hai Bahr-o-bar Mein Aisa Mere Yar Koi in PDF.