Tabiron Se Band Qaba-e-KHwab Khule

tabiron se band qaba-e-KHwab khule

mujh par mere mustaqbil ke bab khule

jis ke hathon baadban ka zor bandha

usi hua ke naKHun se girdab khule

us ne jab darwaza mujh par band kiya

mujh par us ki mahfil ke aadab khule

rahi hamesha gahrai par meri nazar

bhed samundar ke sab zer-e-ab khule

dil ke siwa wo aur kahin rahta hai agar

koi to darwaza dar-e-mehrab khule

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tabiron Se Band Qaba-e-KHwab Khule In English By Famous Poet Ghulam Murtaza Rahi. Tabiron Se Band Qaba-e-KHwab Khule is written by Ghulam Murtaza Rahi. Read famous Poem Tabiron Se Band Qaba-e-KHwab Khule for youth and Student by Ghulam Murtaza Rahi. Free Download Tabiron Se Band Qaba-e-KHwab Khule in PDF.