Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange

charagh se kabhi taron se raushni mange

andheri raat bhi kis kis se zindagi mange

jalane wale jalate hain nafraton ke charagh

faza-e-waqt mohabbat ki raushni mange

wo na-shanas-e-haqiqat hai is zamana mein

wafa ko bhik samajh kar gali gali mange

nishat-o-ranj muqaddar ki baat hoti hai

kisi se gham na kisi se koi KHushi mange

har ek shaKHs mein andaz-e-kaj-adai hai

magar ye dil hai ki rah rah ke dosti mange

jahan suron ki haqiqat na ho wahan pe 'guhar'

jo koi mange to kya taj-e-khusrawi mange

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Charagh Se Kabhi Taron Se Raushni Mange in PDF.