Dard-e-dil Ke Sath Kya Mere Masiha Kar Diya

dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya

be-qarari baDh gai hai jab se achchha kar diya

kya ajab thi un ke pakiza tabassum ki kiran

qalb ki tarik basti mein ujala kar diya

jab na un ke raaz-e-wahshat tak pahunch pai nazar

hosh walon ne junun walon ko ruswa kar diya

nafraton ki had bana kar apne mere darmiyan

wo bhi tanha rah gae mujh ko bhi tanha kar diya

ab to had se baDh gai thin apne dil ki uljhanen

muskura kar aap ne gham ka mudawa kar diya

har-nafas baad-e-sahar ki tarah maujen le uTha

kya kisi ne un ki aamad ka ishaara kar diya

dekh kar saqi ki mastana nigahi ai 'guhar'

zindagi ko hum ne waqf-e-jam-o-mina kar diya

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Ke Sath Kya Mere Masiha Kar Diya In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Dard-e-dil Ke Sath Kya Mere Masiha Kar Diya is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Dard-e-dil Ke Sath Kya Mere Masiha Kar Diya for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Dard-e-dil Ke Sath Kya Mere Masiha Kar Diya in PDF.