Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin

jis taraf bhi dekhiye saya nahin

phir bhi gulshan hai koi sahra nahin

log baiThe hain usi ki chhanw mein

sae se jis peD ka rishta nahin

kaam agar aae nigah-e-haq-shanas

phir kisi pahlu koi dhoka nahin

haq-pasand mera dastur-e-amal

yani bik jaana mera shewa nahin

dosto rakkho haqiqat par nazar

KHwab aankhon mein kabhi palta nahin

us ki duniya mein nahin qimat koi

jo kasauTi par khara utra nahin

wusaten dil ki hain dariya ki tarah

kaun kahta hai ki dil dariya nahin

dard-o-gham wo kis ke samjhe ai 'guhar'

apne ghar se jo kabhi nikla nahin

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Jis Taraf Bhi Dekhiye Saya Nahin in PDF.