Main Ek Musafir-e-tanha Mera Safar Tanha

main ek musafir-e-tanha mera safar tanha

dayar-e-ghair mein phirta hun dar-ba-dar tanha

mere KHilaf tamam aandhiyan zamane ki

main ek charagh sadaqat ki rah par tanha

hai ek bhiD magar koi bhi rafiq nahin

main sochta hun ki main bhi hun kis qadar tanha

na meTe miT sakin tanhaiyan muqaddar ki

ki rah ke bagh mein bhi hai shajar shajar tanha

tere bhi sine mein apnon ka dard jagega

dayar-e-ghair mein koi to sham kar tanha

koi to baDh ke ye kahta ki rah-rawan-e-watan

hai karwan-e-mohabbat ka rahbar tanha

chaman mein gunje sada bhi to kis tarah gunje

parinda shaKH pe bola to hai magar tanha

baDe muhib nazar aae haal-o-mustaqbil

jab apne mazi ko socha hai baiTh kar tanha

nigah puKHta hai jis ki wahi KHaridega

hai sang-rezon ke bazar mein 'guhar' tanha

(1319) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ek Musafir-e-tanha Mera Safar Tanha In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Main Ek Musafir-e-tanha Mera Safar Tanha is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Main Ek Musafir-e-tanha Mera Safar Tanha for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Main Ek Musafir-e-tanha Mera Safar Tanha in PDF.