Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga

tarikiyon mein apni ziya chhoD jaunga

guzrunga main to naqsh-e-wafa chhoD jaunga

duniya ke log sunte rahenge tamam umr

lafzon mein apne dil ki sada chhoD jaunga

apne lahu se phul khila kar hayat ke

har samt KHushbuon ki faza chhoD jaunga

rakhengi yaad husn ki ranaiyan mujhe

wo gulistan mein rang naya chhoD jaunga

har ek qadam banegi jo tahzib ki misal

wo zindagi ki tarz-e-ada chhoD jaunga

sinchega phir chaman mein use mere baad kaun

jis peD ko yahan main hara chhoD jaunga

ye sochta hun jab kabhi hoga mera safar

kya kya main le ke jaunga kya chhoD jaunga

tarke mein kuchh bhi chhoDun na chhoDun yahan magar

bachchon ke haq mein apni dua chhoD jaunga

pahunchega faiz jis se zamane ko ai 'guhar'

ilm-o-hunar ki main wo ghaTa chhoD jaunga

(1109) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga In English By Famous Poet Guhar Khairabadi. Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga is written by Guhar Khairabadi. Read famous Poem Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga for youth and Student by Guhar Khairabadi. Free Download Tarikiyon Mein Apni Ziya ChhoD Jaunga in PDF.