Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna

mahzun na ho 'huzur' ab aata hai yar apna

karta hai fazl tujh par parwardigar apna

jab se gaya wo mah-ru aaghosh se hamari

rahta hai jyun mah-e-nau KHali kanar apna

zulf-o-ruKH-e-sanam ke gham mein sada rahe hum

guzra hamesha yun hi lail-o-nahaar apna

ai be-KHudi-e-mai tu aa dosh par uTha le

uThta nahin mujh se ab bojh-bhaar apna

mahbub hain jahan tak nahin aashna kasu ke

hote nahin hain apne kije hazar apna

kahne se sher ke kuchh hasil nahin magar han

ye hai ki baad apne ho yaadgar apna

aazurda kuchh hain shayad warna 'huzur' mujh se

kyun munh phula raha hai wo gul-ezar apna

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Mahzun Na Ho Huzur Ab Aata Hai Yar Apna in PDF.