Ye Dil Hi Jalwa-gah Hai Us KHush-KHiram Ka

ye dil hi jalwa-gah hai us KHush-KHiram ka

dekha to sirf nam hai bait-ul-haram ka

mani mein lafz ek hai ye rabb-o-ram ka

hasil ye hai ki hai wahi hasil kalam ka

dekha to sab haqiqat-o-mani mein ek hain

surat mein garche farq hai aapas mein nam ka

us la-makan ka koi muayyan nahin makan

gar hai to dil Thikana hai us ke maqam ka

masrur teri mai se ek aalam hai saqiya

ummid-war main bhi hun do ek jam ka

aaghaz-e-ishq mein gaya dil hath se mere

anjam kya ho dekhiye ab mere kaam ka

lete hain chur karne ko hi sang-dil huzur

kiya hai wagarna shisha-e-dil un ke kaam ka

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dil Hi Jalwa-gah Hai Us KHush-KHiram Ka In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Ye Dil Hi Jalwa-gah Hai Us KHush-KHiram Ka is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Ye Dil Hi Jalwa-gah Hai Us KHush-KHiram Ka for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Ye Dil Hi Jalwa-gah Hai Us KHush-KHiram Ka in PDF.