KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye

KHush-nazar hai na KHush-KHayal hai ye

aaj ke dida-war ka haal hai ye

tum mere dil mein kyun nahin aate

shahr-e-ranai-e-jamal hai ye

mere chehre pe kuchh nahin tahrir

sirf unwan-e-arz-e-haal hai ye

wajh-e-nakaami-e-wafa kya hai

aap se aaKHiri sawal hai ye

chahte bhi hain chahte bhi nahin

dosti ki nai misal hai ye

kaise sulghenge kakul-e-dauran

kitna uljha hua sawal hai ye

kaun jaane uruj kya hoga

aadmi ka agar zawal hai ye

DhunDhta hai nai nai uftad

dil-e-iza-talab ka haal hai ye

is zamane mein pak-damani

amr mumkin nahin muhaal hai ye

ab koi aankh nam nahin hoti

dil ki duniya mein KHushk sal hai ye

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye In English By Famous Poet Habab Tirmizi. KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye is written by Habab Tirmizi. Read famous Poem KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye for youth and Student by Habab Tirmizi. Free Download KHush-nazar Hai Na KHush-KHayal Hai Ye in PDF.