Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi

aur ai chashm-e-tarab baada-e-gulfam abhi

dil hai be-gana-e-andesha-e-anjam abhi

baada-o-saqi-o-mutrib ka na lo nam abhi

gard-alud hai aaina-e-ayyam abhi

dil hai majruh par-o-baal shikasta hamdam

dam se chhuT ke bhi hun main tah-e-dam abhi

mani-o-maqsad-e-hasti ka samajhna malum

aql hai sirf parastari-e-auham abhi

ishrat-e-jalwa-e-be-bak mubarak ai ishq

dida-o-dil hain magar tishna-e-paigham abhi

gham nahin sab pe agar chashm-e-karam hai teri

gham to ye hai ki sitam bhi hai tera aam abhi

ai subuk-sair-e-nazar ek payam-e-rangin

hai harif-e-gham-e-dil gardish-e-ayyam abhi

dawat-e-shauq ba-unwan-e-sitam bhi to nahin

us pe ilzam ki hai jazba-e-dil KHam abhi

tu ne kya chiz bana di nigah-e-sehr-taraaz

wo jo thi shisha-e-dil mein mai-e-be-nam abhi

zindagi manzil-e-maqsud se aagah nahin

us ki mearaj hai parwaz sar-e-baam abhi

kis ko ye hosh ki paigham-e-mohabbat samjhe

dil hai warafta-e-rangini-e-paigham abhi

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Aur Ai Chashm-e-tarab Baada-e-gulfam Abhi in PDF.