Duniya Ko Ru-shanas-e-haqiqat Na Kar Sake

duniya ko ru-shanas-e-haqiqat na kar sake

hum jitna chahte the mohabbat na kar sake

saman-e-gul-faroshi-e-rahat na kar sake

rahat ko hum sharik-e-mohabbat na kar sake

yun kasrat-e-jamal ne luTi mata-e-did

taskin-e-tishna-kaami-e-hairat na kar sake

ab ishq-e-KHam-kar hi arman ko de jawab

hum un ko be-qarar-e-mohabbat na kar sake

be-mehriyon se kaam raha go tamam-umr

be-mehriyon ko sahne ki aadat na kar sake

kuchh aisi iltifat-numa thi nigah-e-dost

hote rahe tabah shikayat na kar sake

nakaamiyan to farz ada apna kar gain

hum hain ki e'tiraf-e-hazimat na kar sake

faKHr-e-munasibat mein tera nam le liya

hum KHud hi parda-dari-e-ulfat na kar sake

har-chand haal-e-dida-o-dil hum kaha kiye

tashrih-e-kaifiyat-e-mohabbat na kar sake

aflak par to hum ne banain hazar-ha

tamir koi dahr mein jannat na kar sake

hamsaegi-e-zahid-e-bad-KHu ke KHauf se

parwardigar teri ibaadat na kar sake

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ko Ru-shanas-e-haqiqat Na Kar Sake In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Duniya Ko Ru-shanas-e-haqiqat Na Kar Sake is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Duniya Ko Ru-shanas-e-haqiqat Na Kar Sake for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Duniya Ko Ru-shanas-e-haqiqat Na Kar Sake in PDF.