Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin

mujh ko dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan nahin

ek aatish-e-KHamosh hun jis mein dhuan nahin

kis sadgi se kahte ho hum raaz-dan nahin

wo kaun sa hai raaz jo tum par ayan nahin

wo dushman-e-sukun-e-dil-o-jaan yahi na ho

masum si nigah ki jis par guman nahin

hai aag si lagi hui rag rag mein kya kahun

ek chashm-e-intizar hi yan KHun-chakan nahin

yun dekhta hun barq ko allah re be-dili

jaise kahin chaman mein mera aashiyan nahin

is chashm-e-naz ki koi dekhe fusun-gari

bar-e-hayat bhi mujhe ab to garan nahin

ai mast-e-naz mashq-e-sitam is se bhi siwa

ai zauq-e-dard haif agar jawedan nahin

ai dil sar-e-niyaz ko kya qaid-e-sang-o-dar

kaba hi kya bura hai jo wo aastan nahin

ki fursat-e-hayat teri justuju mein sirf

ai wae gar hunuz-e-wafa ka guman nahin

(1133) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Mujhko Dimagh-e-shewan-o-ah-o-fughan Nahin in PDF.