Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain

wo dard-e-ishq jis ko hasil-e-iman bhi kahte hain

siyah-baKHton mein us ko gardish-e-dauran bhi kahte hain

jo aaghosh-e-haya mein ek dil-awez nashtar hai

isi mauj-e-nazar ko gulshan-e-KHandan bhi kahte hain

hijabaat-e-nazar jalwon ki bebaki se kya uTThen

mohabbat ki nazar ko dida-e-hairan bhi kahte hain

na khulwaen zaban achchha yahi hai hazrat-e-zahid

ki is tark-e-talab ko hasrat-e-isyan bhi kahte hain

kisi ke waste sarmaya-e-duniya-o-din Thahren

wahi nazren jinhen ghaarat-gar-e-iman bhi kahte hain

jo dil mamura-e-sad-hasrat-o-yas-o-tamanna hai

tajjub hai usi ko KHana-e-viran bhi kahte hain

ghalat-andaz si nazren tabassum be-niyazana

taghaful-keshiyon ko dawat-e-arman bhi kahte hain

jahan-e-ab-o-gil ko jis ne zauq-e-zindagi baKHsha

use ai hazrat-e-naseh dil-e-nadan bhi kahte hain

hai jis ke dam se duniya-e-mohabbat jannat-e-arman

usi jaan-e-tarab ko fitna-e-dauran bhi kahte hain

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Wo Dard-e-ishq Jis Ko Hasil-e-iman Bhi Kahte Hain in PDF.