Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-e-na-rasa Bhi Nahin

ye gham nahin hai ki ab aah-e-na-rasa bhi nahin

ye kya hua ki mere lab pe iltija bhi nahin

sitam hai ab bhi umid-e-wafa pe jita hai

wo kam-nasib ki shaista-e-jafa bhi nahin

nigah-e-naz-e-ibarat hai zindagi jis se

sharik-e-dard to kya dard-ashna bhi nahin

samajh raha hun amanat mata-e-sabr ko main

agarche ab nigah-e-sabr-e-azma bhi nahin

wo karwan-e-nishat-o-tarab kahan hamdam

jo DhunDhiye to kahin koi naqsh-e-pa bhi nahin

hai dil ke waste sham-e-umid-o-mashal-o-rah

wo ek nigah jise dil se wasta bhi nahin

koi tabassum-e-jaan-baKHsh ko tarasta hai

shahid-e-ishwa-e-rangin ka KHun-baha bhi nahin

ye kyun hai shoala-e-betab ki tarah muztar

meri nazar ki abhi lutf-ashna bhi nahin

ba-shakl-e-qissa-e-dar-o-rasan na ho mashhur

wo ek fasana-e-gham tum ne jo suna bhi nahin

tamam harf-o-hikayat miTa gai dil se

nigah-e-naz ne kahne ko kuchh kaha bhi nahin

wo kushta-e-karm-e-yar kya kare ki jise

ba-in tabahi-e-dil shikwa-e-jafa bhi nahin

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-e-na-rasa Bhi Nahin In English By Famous Poet Habeeb Ahmad Siddiqui. Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-e-na-rasa Bhi Nahin is written by Habeeb Ahmad Siddiqui. Read famous Poem Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-e-na-rasa Bhi Nahin for youth and Student by Habeeb Ahmad Siddiqui. Free Download Ye Gham Nahin Hai Ki Ab Aah-e-na-rasa Bhi Nahin in PDF.