Uski Tamil Kar Raha Hun Main

us ki tamil kar raha hun main

apni takmil kar raha hun main

us se shikwa kiya to aisa laga

apni tazlil kar raha hun main

wo to kuchh bhi badalne wala nahin

KHud ko tabdil kar raha hun main

yun laga barha wajud apna

tujh mein tahlil kar raha hun main

dekh is mein tera hai kya kya kuchh

KHali zambil kar raha hun main

(642) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Uski Tamil Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Habeeb Kaifi. Uski Tamil Kar Raha Hun Main is written by Habeeb Kaifi. Read famous Poem Uski Tamil Kar Raha Hun Main for youth and Student by Habeeb Kaifi. Free Download Uski Tamil Kar Raha Hun Main in PDF.