Firaq Mein Dam Ulajh Raha Hai KHayal-e-gesu Mein Jaankani Hai

firaq mein dam ulajh raha hai KHayal-e-gesu mein jaankani hai

tanab-e-jallad ki tarah se rag-e-gulu aaj-kal tani hai

nahin hai parwa-e-mal-o-daulat safa-e-baatin se dil ghani hai

gada hain hajat-rawa-e-sultan ye kimiya-e-farotani hai

jigar mein hain dagh-e-mahr-o-ulfat shigaf-e-pahlu hai jeb-e-mashriq

shab-e-lahad hai ki subh-e-mahshar ye kis qayamat ki raushni hai

fazael-e-ittihad-e-millat jahan mein wajh-e-muKHalifat hain

muaf hi rakhiye shaiKH sahab ye rahbari hai ki rahzani hai

gharaz na rakkhe mai-e-jahan se to hum bhi qail hon tere waiz

kamal kya jab ummid-e-farda hi illat-e-pak-damani hai

hamein na ras aaya dil lagana ghazab hua phir gaya zamana

koi to kahta hai qaid kar do koi ye kahta hai kushtani hai

raqib ko pas gar biThaya to mujh se hargiz na zabt hoga

miTa hi dun ek din ye jhagDa bas ab to dil mein yahi Thani hai

koi kisi se na dil lagae na sar pe koh-e-alam uThae

nahin bharosa KHuda bachae ki ishq mein jaan par bani hai

khapi hai dil mein hansi tumhaari firaq mein kaundti hai bijli

rahen na kyun ashk-e-surKH jari jigar mein almas ki kani hai

kabhi to aa mere rashk-e-isa hui hai muzmin tap-e-judai

nahin shifa ki ummid baqi numud chehre se murdani hai

hua ye laghar asir tera ki sab ko hai naqsh-e-pa ka dhoka

gale mein jo tauq tha pahnaya wo ab use hisn-e-ahani hai

na tegh-e-qatil ka kyun ho shohra kiya hai jo rang-e-jism aisa

diye jo Tanke to hai ye dhoka badan ka malbus sozani hai

zamin par girte girte hum ko suna gaya kasa-e-sifalin

hua jahan daur-e-umr-e-aKHir ye saz-e-hasti shikastni hai

jigar mein barson khaTak rahegi phunkenge pahlu chamak rahegi

KHayal-e-mizhgan-e-yar-e-jaani sinan-e-dil-doz ki ani hai

azal se rindon ko mai ki aadat hai aur waiz ki sarzanish ki

taKHaluf-e-waza se hai jhagDa na dosti hai na dushmani hai

'habib' piri mein hain rangili wo sabza rangon hi par hain marte

hue hain do din pata nahin hai kisi se gahri kahin chhani hai

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Firaq Mein Dam Ulajh Raha Hai KHayal-e-gesu Mein Jaankani Hai In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Firaq Mein Dam Ulajh Raha Hai KHayal-e-gesu Mein Jaankani Hai is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Firaq Mein Dam Ulajh Raha Hai KHayal-e-gesu Mein Jaankani Hai for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Firaq Mein Dam Ulajh Raha Hai KHayal-e-gesu Mein Jaankani Hai in PDF.