Salam Logo

salam ai dil-figar logo

salam ai ashk-bar logo

tumhi ne apna watan bachaya

tumhi ne baatil ka sar jhukaya

bujha ke sham-e-hayat apni

wafa ki rahon ko jagmagaya

magar ye dil ro ke kah raha hai

lahu tumhaara na rang laya

wahi hai shab ka hisar logo

salam ai ashk-bar logo

gulon ki wadi lahu lahu hai

fughan ki aawaz chaar-su hai

hain is qadar tishna-kaam mai-kash

har ek lab par subu subu hai

nishan-e-manzil hai khoya khoya

luTa luTa shahr-e-arzu hai

bujhe bujhe hain dayar logo

salam ai ashk-bar logo

tumhaare dam se hari zaminen

KHushi se daman-bhari mashinen

hain us ke ba-wasf bhigi bhigi

tumhaari ashkon se aastinen

main sochta hun rahengi kab tak

sitam ke aage jhuki jabinen

uThao sar sogwar logo

salam ai ashk-bar logo

(6203) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Salam Logo In English By Famous Poet Habib Jalib. Salam Logo is written by Habib Jalib. Read famous Poem Salam Logo for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Salam Logo in PDF.