Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin

tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin

jis mein na tu sharik ho maut hai zindagi nahin

ishrat-e-did hai yahi apna bhi kuchh rahe na hosh

jalwa ba-qaid-e-tab-e-did asl mein jalwa hi nahin

awwal-e-ishq hi mein kya dil ka maal dekhna

ye to hai ibtida-e-soz aag abhi lagi nahin

ishq hai kaif-e-be-KHudi is ko KHudi se kya gharaz

jis ki faza ho wasl o hijr ishq wo ishq hi nahin

ye bhi na ho KHabar ki sar sajde mein hai jhuka hua

jis mein ho bandagi ka hosh wo koi bandagi nahin

kis ka sar-e-niyaz tha pa-e-ayaz par jhuka

mana-e-bandagi-e-shauq satwat-e-KHusrawi nahin

kar na sukun-e-dil ka gham hadi-e-mubtala zara

ishq ki bargah mein dard ki kuchh kami nahin

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin In English By Famous Poet Hadi Machlishahri. Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin is written by Hadi Machlishahri. Read famous Poem Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin for youth and Student by Hadi Machlishahri. Free Download Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin in PDF.