Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya

duniya mein yun to har koi apni si kar gaya

zinda hai us ka nam kisi par jo mar gaya

subh-e-shab-e-visal hai aaina hath mein

sharma ke kah rahe hain ki chehra utar gaya

saqi ki baDh chali hain jo be-iltifatiyan

shayad hamari umr ka paimana bhar gaya

itna to jaante hain ki pahlu mein dil nahin

us ki KHabar nahin ki kahan hai kidhar gaya

hum se jo aap ruTh ke jate hain jaiye

sun lijiyega zahr koi kha ke mar gaya

jata raha shabab to kuchh sujhne lagi

aankhen khulin sharab ka nashsha utar gaya

naseh kahan ka chheD diya tu ne aa ke zikr

us ka KHayal phir mujhe bechain kar gaya

do din mein ye mizaj ki haalat badal gai

kal sar chaDha tha aaj nazar se utar gaya

achchha hua jo aap ayaadat ko aa gae

sar ka ye ek bojh tha wo bhi utar gaya

tere mariz-e-hijr ka ab to ye haal hai

aaya jo dekhne ko wo ba-chashm-e-tar gaya

chheDa kisi ne zikr-e-mohabbat jo ai 'hafiz'

dil par ajib tarah ka sadma guzar gaya

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Duniya Mein Yun To Har Koi Apni Si Kar Gaya in PDF.