Mizhgan Hain Ghazab Abru-e-KHam-dar Ke Aage

mizhgan hain ghazab abru-e-KHam-dar ke aage

ye tir baras paDte hain talwar ke aage

KHair us mein hai waiz ki kabhi mai ki mazammat

karna na kisi rind-e-KHush-atwar ke aage

kahna meri baalin pe ki aasar bure hain

karta hai ye baaten koi bimar ke aage

shikwe the bahut un se shikayat thi bahut kuchh

sab bhul gae wasl ki shab pyar ke aage

KHalwat mein jo puchho to kahun dil ki haqiqat

mujh se na mera haal suno chaar ke aage

aaina abhi dekh ke KHud-bin to wo ho len

KHud aaenge phir talib-e-didar ke aage

qarun ka KHazana ho ki hatim ki saKHawat

sab kuchh hai magar kuchh nahin mai-KHwar ke aage

kya mujh ko Daraengi teri tez nigahen

ye aankh jhapakti nahin talwar ke aage

diwanon mein diwane 'hafiz' aap hain warna

hushiyar se hushiyar hain hushiyar ke aage

(680) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizhgan Hain Ghazab Abru-e-KHam-dar Ke Aage In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Mizhgan Hain Ghazab Abru-e-KHam-dar Ke Aage is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Mizhgan Hain Ghazab Abru-e-KHam-dar Ke Aage for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Mizhgan Hain Ghazab Abru-e-KHam-dar Ke Aage in PDF.