Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho

qasid KHilaf-e-KHat kahin tera bayan na ho

karna sambhal ke baat ki wo bad-guman na ho

nalon ka mere aaTh-pahr imtihan na ho

Darte nahin ki ek zamin aasman na ho

tohmat ho bhul-chuk ki paighambar ke sar

shikwon ka lutf kya jo koi darmiyan na ho

nalon se laD rahi hai sada-e-jaras jo aaj

gum-karda-rah koi pas-e-karwan na ho

sau sun ke ek bhi na kahen hum baja durust

us se ye kahiye aae ki jis ke zaban na ho

ab tak wo yaad hain meri agli inayaten

bas bas hamare haal pe tu mehrban na ho

chhuTi teri gali to ye mujh ko yaqin hua

jannat hai wo jahan sitam-e-asman na ho

karte hain ek ek se meri shikayaten

sirf is KHayal se ki koi bad-guman na ho

ye kya ki sar chaDha ke nazar se gira diya

ab mehrban hue ho to na-mehrban na ho

dil ko kahan hai sadma-e-rashk-e-adu ki tab

sau imtihan hain aur ye ek imtihan na ho

marna phaDak phaDak ke gawara sahi magar

itna to ho qafas mein gham-e-ashiyan na ho

kabe mein but-kade mein KHarabaat mein rahe

insan wo hai kahin jo kisi par garan na ho

apni bhi sar-guzasht hai ik-tarfa dastan

barson suno to nisf ye qissa bayan na ho

dil se hai dil ko rah ye sach hai agar 'hafiz'

mumkin nahin KHayal yahan ho wahan na ho

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Qasid KHilaf-e-KHat Kahin Tera Bayan Na Ho in PDF.