Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai

un ko dil de ke pashemani hai

ye bhi ek tarah ki nadani hai

wasl se aaj naya hai inkar

tum ne kab baat meri mani hai

aap dete hain tasalli kis ko

hum ne ab aur hi kuchh Thani hai

haal bin puchhe kahe jata hun

apne matlab ki ye nadani hai

kis qadar bar hun gham-KHwaron par

kya subuk meri giran-jaani hai

ghar bula kar wo mujhe lauTte hain

ye nai tarah ki mehmani hai

hum se wahshat ki na le o majnun

hum ne bhi KHak bahut chhani hai

KHak uDti hai jidhar jata hun

kya muqaddar ki pareshani hai

ghar bhi virana nazar aata hai

hae kya be-sar-o-samani hai

aai kyun un ki shikayat lab tak

hum ko KHud us ki pashemani hai

kahin do din na raha jam ke 'hafiz'

ek aawara hai sailani hai

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Un Ko Dil De Ke Pashemani Hai in PDF.