Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai

wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai

baghal mein chand hai aur aaftab hath mein hai

pila ke pir ko saghar jawan banata hai

maza hai pir-e-mughan ke shabab hath mein hai

bar aai aaj mere dil ki aarzu sad shukr

ki daman aap ka roz-e-hisab hath mein hai

ye aae kis ke qadam dast-e-mauj se dariya

liye hue jo kulah habab hath mein hai

araq visal mein ponchha hai gul se galon ko

yahi hai wajh ki bu-e-gulab hath mein hai

bin aai hai mere dast-e-hawas ki wasl ki shab

hina lagae jo wo mast-e-KHwab hath mein hai

hawa se tez wo aata hai nama-bar mera

niyaz-name ka mere jawab hath mein hai

khile hain gul gul aariz ke wasf mein sar-e-dast

qalam mera hai ki shaKH-e-gulab hath mein hai

'hafiz' aap ka diwan ye hua maqbul

ki jis ko dekho liye ye kitab hath mein hai

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai in PDF.