Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi

hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi

wo aankh ki hai fitna-e-sad-hush-ruba bhi

hai kar-e-junun ahl-e-junun ke liye aasan

ye kaam kabhi ahl-e-farasat se hua bhi

taskin-e-dil-o-jaan hai agar wo ruKH-e-zeba

us qamat-e-zeba mein hai ek hashr chhupa bhi

jo samne aae to meri samt na dekhe

deta hai shab-e-hijr wahi mujh ko sada bhi

utre jo wo sine mein to ilham ki surat

Thahre to larazne lage shabnam ki rida bhi

uTThe to qayamat bhi qadam chum ke guzre

al-qissa wo andaz hai aafat bhi bala bhi

'hafiz' mere sine mein farozan hai abhi tak

wo dard sikhata hai jo jine ki ada bhi

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi In English By Famous Poet Hafiz Ludhiyanvi. Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi is written by Hafiz Ludhiyanvi. Read famous Poem Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi for youth and Student by Hafiz Ludhiyanvi. Free Download Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi in PDF.