Hairat Ke Dil Pe War Kiya Hae Kya Kiya

'hairat' ke dil pe war kiya hae kya kiya

KHud ko bhi be-qarar kiya hae kya kiya

mujh ko na tha KHud apni nigahon pe e'tibar

aur us ne e'tibar kiya hae kya kiya

jitna hi main KHarab hua na-tawan hua

utna hi us ne pyar kiya hae kya kiya

main us se bad-guman raha uf ai fareb-e-ishq

aur us ne mujh ko pyar kiya hae kya kiya

hans hans ke apna daman-e-rangin diya mujhe

aur main ne tar tar kiya hae kya kiya

milta tha ek nazar se meri ruh ko qarar

us ne bhi be-qarar kiya hae kya kiya

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairat Ke Dil Pe War Kiya Hae Kya Kiya In English By Famous Poet Hairat Gondvi. Hairat Ke Dil Pe War Kiya Hae Kya Kiya is written by Hairat Gondvi. Read famous Poem Hairat Ke Dil Pe War Kiya Hae Kya Kiya for youth and Student by Hairat Gondvi. Free Download Hairat Ke Dil Pe War Kiya Hae Kya Kiya in PDF.