Maqsad-e-hayat

zindagi apni numaish-gah-e-masnuat hai

chaar din bijli ke lamp aur phir andheri raat hai

aae hain duniya mein koi kaam karne ke liye

kuchh KHuda se aur kuchh biwi se Darne ke liye

hai jawanon ke liye cinema mein jaana zindagi

jeb mein pai na ho tie lagana zindagi

mah-washon se bagh mein aankhen laDana zindagi

ghusl-KHane mein akele gungunana zindagi

ishq-bazi aur mausiqi nahin to kuchh nahin

aur kuchh kuchh mai se dilchaspi nahin to kuchh nahin

sher kahna bhi bana jata hai juzw-e-zindagi

nam chhap jaana risale mein hai hadd-e-shairi

nasr mein ashaar kah lena hai ek sanat nai

aur agar ye bhi nahin KHali taKHallus hi sahi

nam ke sath ek do alfaz ki dum chahiye

sher phika hi sahi lekin tarannum chahiye

zindagi ka ek maqsad leaderi karna bhi hai

chanda kha kar qaum ki ulfat ka dam bharna bhi hai

mulk par jaan dena lafzi taur par marna bhi hai

is pe murda-baad ke naron se kuchh Darna bhi hai

ban ke leader so rahe to zindagi kis kaam ki

amn qaem ho gaya to leaderi kis kaam ki

maqsad-e-hajjam hai aurat banana mard se

maqsad apna hai Darana but ko aah-e-sard se

zindagi ke aur maqsad bhi hain insan ke liye

koi aiwan ke liye hai koi zindan ke liye

koi gulshan ke liye koi bayaban ke liye

aur ye 'laqlaq' hai to afkar-e-pareshan ke liye

raat din is ka qalam masruf-e-laqlaqyat hai

chaar din ki chandni hai phir andheri raat hai

(1845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqsad-e-hayat In English By Famous Poet Haji Laq Laq. Maqsad-e-hayat is written by Haji Laq Laq. Read famous Poem Maqsad-e-hayat for youth and Student by Haji Laq Laq. Free Download Maqsad-e-hayat in PDF.