Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi

ghar hai to dar bhi hoga diwar bhi rahegi

zanjir bhi hilegi jhankar bhi rahegi

tarikiyon ke qalb-e-tarik-tar mein DhunDo

ek shama mawara-e-anwar bhi rahegi

behtar tha be-ruKHi ka izhaar yun na hota

mana ki kuchh to wajh-e-inkar bhi rahegi

jis aankh ko chhupa kar rakkha hai har nazar se

wo nim-wa bhi hogi bedar bhi rahegi

sahra talab ka goya maidan-e-karbala hai

panw mein ret sar par talwar bhi rahegi

qurbat ki saaton mein duri ka KHauf hoga

sae se raushni ki paikar bhi rahegi

zahir hai sadgi bhi 'almas' ke suKHan se

lekin ghazal ki fitrat pur-kar bhi rahegi

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi In English By Famous Poet Hameed Almas. Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi is written by Hameed Almas. Read famous Poem Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi for youth and Student by Hameed Almas. Free Download Ghar Hai To Dar Bhi Hoga Diwar Bhi Rahegi in PDF.