Ai Dost Dard-e-dil Ka Mudawa Kiya Na Jae

ai dost dard-e-dil ka mudawa kiya na jae

wada agar kiya hai to ifa kiya na jae

aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste

ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae

majburiyon ke raaz na khul jaen baad-e-marg

qatil hamare qatl ka charcha kiya na jae

aaegi apne lab pe to hogi parai baat

lazim hai raaz-e-dil kabhi ifsha kiya na jae

wo KHud hi jaan lenge mere dil ka muddaa

behtar yahi hai arz-e-tamanna kiya na jae

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dost Dard-e-dil Ka Mudawa Kiya Na Jae In English By Famous Poet Hameed Jalandhari. Ai Dost Dard-e-dil Ka Mudawa Kiya Na Jae is written by Hameed Jalandhari. Read famous Poem Ai Dost Dard-e-dil Ka Mudawa Kiya Na Jae for youth and Student by Hameed Jalandhari. Free Download Ai Dost Dard-e-dil Ka Mudawa Kiya Na Jae in PDF.