Kahan Tahriren Maine BanT Di Hain
kahan tahriren main ne banT di hain
hunar tadbiren main ne banT di hain
tumhaare KHwab ne taKHir kar di
sabhi tabiren main ne banT di hain
likho ghar ke sabhi afrad mein ab
meri taqdiren main ne banT di hain
kai ghazlen tumhaare nam likkhin
baDi jagiren main ne banT di hain
suno in gunge-bahre baam-o-dar ko
kai taqriren main ne banT di hain
meri aankhen jinhen mahfuz kartin
wo sab taswiren main ne banT di hain
mere qaidi mere alfaz 'hamid'
suKHan zanjiren main ne banT di hain
(3312) Peoples Rate This